Haridoot

Haridoot Lyrics

Haridoot Lyrics · Narci

Paap karm karne wale, sabhi manusya
Apne apne, paap karm ka, dand, jaroor bhogate hain
Koyi bhi, dehvaan, aisa nahin, jo paap naa kare (naa kare)
Yaa punya, naa kare (yaa punya)
Aur, jo paap punya, karega, use bhogna padega (aa)

Jagajjaalpalam, kachad kanthmaalam
Sarchandrabhaalam, mahadityakaalam
Nabho nilkaayam, duravarmaayam
Supadmasahaayam, bhajeham bhajeham

Premiyon ke bhesh mein, chhupe huye, thug dekhe
Thekedaar, dharm ke, haan, maine door, tak dekhe (ae)
Bheej chuke, paap mein jo, prani maine, sab dekhe
Swamini ke, hathon kate, patiyon ke, shav dekhe (ae)

Gharo ke, barmade, maine ran, bhoo dekhi
Lahoo se, nahati maine, sadako pe, gau dekhi (ee)
Rishton ki, katha, maine likhi, lahoo dekhi
Patiyon ke, ghar maine, jali huyi, bahu dekhi (ee)

Pashu aur, shishuon se, hota, kukarm dekha
Pita dwaara, betiyon se, hota duskarm dekha (aa)
Phal hetu lobh dekha, shunya maine karm dekha
Praaniyo ke hruday mein naa, basa maine dharm dekha (aa)

Naari, chhed chhad, hoti, khuleaam dekhi
Shaam dekhi, jahan, yuva peedi, badnaam dekhi (ee)
Rishtein, nibhane ki, koshishein, nakaam dekhi
Vaasna ki gaadi maine, yahan, belgaam dekhi (ee)

Buddha, haan imaan, paise ko, jawaan dekha
Paise aage, maine, lachaar, haan, vidhaan dekha (aa)
Naam leke, daniyon ko, dete maine, daan dekha
Apna bhi, apno mein, hote anjaan dekha (ee)

Bhaavano mein fasa hua, jalta vimaan dekha
Haadse mein bana maine, ghor shamshaan dekha (aa)
Paap se rahit, dhara mein naa, sthaan dekha
Murkho ko dete maine, logon ko bhi, gyaan dekha (aa)

Vaasna mein dooba hua, maine, vartmaan dekha
Insta ke reel mein, gira insan dekha (aa)
Chhaati ko dikhane ka, naari mein rujhaan dekha
Gaali dene wala maine, yahan pe mahaan dekha (aa)

Hari ke wajood pe, uthta sawaal dekha
Maine apradhsheel, logon mein khayaal dekha (aa)
Mandiron pe hota, maine, prahaar dekha
Maine yahan, kaal dekha (aa)

Ramakantahaaram, shruthivrathasaaram
Jalantharvihaaram, dharabharahaaram
Chidanandaroopam, manogna swraroopam
Dhrutanekaroopam, bhajeham bhajeham

Andhkaar mein bhi, dharm ka prakash dekha
Papiyon ke beech khada, hari ka aabhaas dekha (aa)
Kali ke prabhaav mein, bhakti ka vaas dekha
Hari hetu praaniyon mein, maine vishwaas dekha (aa)

Paap ko mitane ka, manon mein prayas dekha
Kalki ke aane ka, janon mein ullaas dekha (aa)
Asuro ke beech maine, hari ka bhi daas dekha
Bhakti mein, raas dekha (aa)

Ram ji ki leela maine, abhi bhi hai rachi dekhi
Aastha upaasakon ki, abhi bhi hai sagi dekhi (ee)
Mathura ki nagari, abhi bhi hai saji dekhi
Aastha tyohaaro mein, abhi bhi hai bachi dekhi (ee)

Hari dwaara hota, maine chamatkaar dekha
Hari avatar hetu, maine intezaar dekha (aa)
Bhakton ke liye khula, narayan ka dwaar dekha
Kala ko haan hote maine, bhav ke bhi paar dekha (aa)

Jis samay, chaar akshar, pukaara narayan
Usi samay
Yeh poorn, nispaap, ho gaya (aa)

Vaishnav nishaan se, saja lalaat dekha
Kayaron se door, saja purushaarth dekha (aa)
Chhal waale daur mein, nistha ka saath dekha
Kabhi nahin chhuta jo woh, prem waala haath dekha (aa)

Aaj bhi bhare, chaaron maine dhaam dekhe
Shiv dekhe kashi, ayodhya mein, Ram dekhe (ae)
Vrindavan radha, mathura mein shyam dekhe
Bhajano mein doobe, abhi bhi hain gaanv dekhe (ae)

Kali tujhe maante naa, maine insaan dekhe
Tujhse bhi bade maine, bas mere, Ram dekhe (ae)
Laalachon ke vyarth, hote tere baan dekhe
Baaton mein jo phase teri, wohi pareshaan dekhe (ae)

Baikunth jaane ki, bhakto mein aas dekhi
Aatmayein nek maine, bhajano ke paas dekhi (ee)
Dharm ki pataka thi, oonchi lagi kal dekhi
Dharm ki pataka, oonchi maine aaj dekhi (ee)

Samsthamaresham, dvirephabhakesham
Jagadbimbalesham, hrudakashadesham
Sada divyadeham, vimuktakhileham
Suvaikunthageham, bhajeham bhajeham

Bhagwaan ke, parshadon ne kaha
Tumhein, param pad ki, prapti huyi hain
Chalo, dekho, yeh bhagwan ka, vimaan aaya hain
Aaya hain…

Credits

SongHaridoot
SingerAgam Aggarwal, Narci, Premanand Govind Sharan
WriterNarci, Traditional
ComposerNarci
GenrePop
MixingXzeus
LabelSarvinarck Music

Official Video

About

This is a profound Hindi devotional song that intertwines the reality of human actions with the eternal presence of the divine. It begins with the truth of karma, where every deed, good or bad, must find its result, and then rises into praises of Lord Hari as the sustainer and protector of creation. The lines portray scenes of corruption, violence, broken families, greed, and moral decline, showing how society drifts from dharma. Yet, amidst this turmoil, the song holds on to the light of faith, where devotion, prayer, and sacred traditions continue to keep hope alive.